Dua kabool hone ki surate

*** Dua kabool hone ki surate ***

Dua kabool hone ki teen (3) surate hai.

1 ) Dua karne waale ki zarrurat poori ki jaati hai (Jo manga wo mil jaata hai) Yaa fir

2) Us ki dua ko aakhirat ke liye Zakira (Bhandaar) bana diya jaat hai Yaa fir

3) Us dua ke barabar us se koi Musibat taal di jaati hai

paigham logon tak pahuchao / Convey (my teachings) to the people

Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

Hadith: mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho

Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya mera paigham logon tak pahuchao chahe ek hi aayat ho, aur jisney mujh par jaanbujh kar (intentionally) jhoot bola usey jahannam mein apney thikaney ke liye tayyar rahna chahiye.
Sahih Bukhari, Vol4, 3461
————————————————-
Narrated Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu: The Prophet Sallallahu Alaihi wasallam said, “Convey (my teachings) to the people even if it were a single sentence, And whoever tells a lie on me intentionally, will surely take his place in the (Hell) Fire.”
Sahih Bukhari, Vol 4, Book 56, No 667