Dua kabool hone ki surate

*** Dua kabool hone ki surate ***

Dua kabool hone ki teen (3) surate hai.

1 ) Dua karne waale ki zarrurat poori ki jaati hai (Jo manga wo mil jaata hai) Yaa fir

2) Us ki dua ko aakhirat ke liye Zakira (Bhandaar) bana diya jaat hai Yaa fir

3) Us dua ke barabar us se koi Musibat taal di jaati hai

Islamic SMS Hindi Page 6

  1. Nabi e kareem (Sallal laahu Alai wa sallam) ne farmaya Har Musalmaan Dusre Musal maan ka BHAI hai Bukhari
  2. Har CHEEZ Apne WAQT pr ACHHI Lagti Hai,
    NEKI Kamane Ka Sahi WAQT “JAWANI” Hai.!!
    >Tirmizi
  3. Yaqeenan jo log Imaan laye aur nek Amal kiye to hum kisi nek Amal karne wale ka Sawaab zaya nahi karte.
    (Surah Kahf: 30)
  4. Huzur ne farmaya : ALLAH Ke Nazdiq Sabse Zyada Pasandida Jagah hai MASJID
    > Bukhari 335 <.
  5. “Allah SHIRK ko kabhi bhi Maaf nahi karega aur iske ilawa Wo jis gunah ko chahe Maaf kar deta hai”.
    [Surah Nisa (4):116]
  6. Aur jo shaksh kisi Musalman ko AIb chupayega duniya mein to Allah subhanahu uska Aib chupayega duniya mein aur aakhirat mein
    Sahih Muslim
  7. Wo Gham jis K Milne Se Tumhara Ruju
    Allah Ki Taraf Ho Jaye,
    Us Khushi Se Behtar Hai
    Jis K Milne Par Tum Apne Khaliq ko bhool Jao
  8. Beshaq Musalman Aapas mein bhai bhai hain isliye apney bhaiyon mein sulah kara diya karo aur Allah se daro
    Surah Al-Hujraat Ayat No 10
  9. “Aur aise logo ki Tauba Allah ko Qabool nahi jo Lagatar Gunah kiye jaye Aur Maut ko Saamne dekhkar tauba kare”
    (QURAAN 4:18)
  10. Kisi ki burai talash karne wale ki misaal us makkhi ke jaisi hai
    jo pura khubsurat jism chhodkar sirf Zakhm par baithti hai.Gheebat mat karo
  11. Momeen ek aant (intestine) se khata hai aur kaafir saaton (7) aantein(intestines) bhar leta hai.
    Sahih Bukhari
  12. “Khushnuma Bana Diye Gaye UnKe Liye Unke Burey Kaam..
    Or
    ALLAH Hidayat nahi Deta Haq Ka Inkaar Karne Walo Ko”.
    (Surah Taubah Ayat no: 36
  13. “Khushboo” Kyun Na Aayegi Teri”Zindagi”Say,
    ‘Aye MUSALMAN’
    TU “Ummati” H Us Hasti Ka Jisse
    “Phool”Bhi “Khushbu” Ki
    “Bheek”Mangte Hai
  14. Agar kisi musalman ne darakht lagaya, jiska phal kisi insaan ya jaanwar ne khaya, to lagane wale keliye ye sadaqa hoga
    Bukhari
  15. Beshak ALLAH TALA ko Naamon me ye Naam Abdullah or Abdur Rahman sabse zyada Pasand hai
    {Muslim:2132}
  16. wo shaksh jannat mein nahi jayega jiska humsaya (Padosi) uskey makar-o-fasad (yani Zulm-Sitam se) se mehfooz na ho.
    Sahih Muslim,
  17. Bait-ul-Khala (Latrine/Toilet) Mein Dakhi Hote Waqt
    Ki Dua:”Allahumma Innee Aaoozubika Minal Khubuso Wal
    KhabaaIs” BUKHARI
  18. Huzur Do sazdo ke darmiyan ye dua parhtey they
    Allahumma Aghfirli, wa Arhamni , wa Aafini, Wa Ahdini, wa Arzuqni.
    Sunan Abu Dawud
  19. Us shaksh ki namaz nahi jiska wudhu nahi aur us shaksh ka wudhu nahi jisney iskey shuru mein BISMILLAH na parhi ho
    Sunan Abu Dawud
  20. Logo me aksar aise hain jo Allah par imaan lane ke bawajod mushrik hain. >SUREH YUSUF AYAT 106.
  21. Raat me sote waqt aytal kursi padha karo , jo shakhs padhega usse fazar tak koi shaitan nuksan nahi paocha sakta.
    Bukhari.
  22. Zaid RadiAllahu Anhu ek aise sahabhi hai jinka naam quran me hai Surah Ahzaab me.
  23. Jo shaksh Allah aur uskey Qayamat ke din par Imaan rakhta ho wo apney Padosi ko takleef na pahuchaye.
    Sahih Bukhari
  24. Huzur ne farmaya mainey apney baad mardon ke liye aurton ke fitnon se bad kar nuksaan deney wala aur koi fitna nahi chora hai.
    Bukhari
  25. Nabi Sal’lallahu Alaihi WaSallam ne farmaya:
    Umar khade ho jao aur 3 baar ailaan karo ki Jannat me sirf Imaandar daakhil hoga.
    {Tirmizi}

Islamic SMS Hindi Page 2

  1. Jo Shakhs Din me 100 Martaba Kahe “SUBHANALLAHI WA BIHAMDIHI” Uske Gunah Samandar k Jhag k Barabar Bhi Ho To Maaf Ho Jate Hai Bukhari6405
  2. MOMIN Wo Nahi Hai Jiski Sirf MEHFIL Paak Ho
    Balke MOMIN To Wo Hai Jiski TANHAI Bhi Paak Ho
  3. ALLAH Taala Farmate hai:
    Aur Humne Iss Quran me Logo k Liye Har Tarah ki Misal Bayaan Kardi Hai, Aur Insaan Sabse Zyada Jhagdalu Hai.
    -Quran
  4. Agr tumhe Koi hadsa pesh aa jaye to yu mat kaho ki agr me yu karta to aisa ho jata balki yu kaho ki ALLAH ne yahi muqaddar farmaya tha
  5. Jis shakhs ne gumrahi ki taraf Dawat di uspar itna Gunah hoga jitna ke uspar amal karne walo par hai.
    (Sahih Tirmizi: 3/2155)
  6. Aur na Tumme se ek dusre ki gheebat kare kya tumme se koi is baat ko pasand karga ki apne mare huye bhai ka Ghosh khaye
    Surah Hujurat Ayat19
  7. Jab koi Cheenkey to “Al humdulillah” kahe aur jab saamne wala “alhumdillah” sune to “Yarhamukallah” se uska jawab de
    Sahih Bukhari, 6223
  8. Aur jis cheez par Allah ka naam nahi liya gaya usmein se naa khao aur beshaq ye khana gunaah hai
    Al Quran , Al Anaam , Verse 121
  9. Sab milkar Allah ki (hidayat ki) Rasii ko mazbuti se thaam lo, aur aapas mein firqon mein na banto.
    Aal-e-Imran (3), Verse 103
  10. Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam farmaya ki jo Allah ki makhluq par raham nahi karta us par bhi raham nahi kiya jata.
    Sahih Bukhari
  11. Tum Me se Koi Shkhs Us Waqt Tak Momin Nhi Ho Skta Jab Tak Wo Apne Muslman Bhai k Lie Bhi Wahi Pasand Na Kare Jo Apne Liye Karta Hai
    bukhari
  12. Aye Momino! Apne sadqaat ko ehsan jatakar aur dukh dekar us shkhs ki tarah zaya na karo jo apna maal logoko dikhane ke liye kharch karta hai
  13. Quran wo rasta dikhata hai jo sab se SEEDHA hai or Momino ko jo nek amal karte hain basharat deta hai ke inke liye ajr azeem hai
    Surah Isra
  14. Jin logo ne kufr kiya unke liye sakht azab hai jo log iman laye nek amal kare unke liye maghfirat aur bada ajr hai
    Quran 32.7 Surah Fatir
  15. Jo Musalmaan kisi nangey Musalmaan ko kapdey pahnayega to Allah taala usko jannat ka hara libas pahnayega
    Sunan Abu Dawud, Bk 9, Number 1678
  16. Aur jab main Beemar hota hu to wohi (Allah) mujhe Shifa deta hai
    Al Quran , SUrah 26, Verse 80
  17. Yatimo ke maal naahak chatt kar jaya karte hai woh apne pet me bus angaare bharte hai aur ankareb Jahanum Waasil honge
    Surah Nisa Ayat no 10
  18. Jo Kaamyaabi tum Zindagi bhar talash karte ho woh tumhe roz Paanch waqt Bulata hai (Hayya Lal Falah) (Kaamyabi ki taraf aao)
  19. Hum teri hi ibadat karte hai aur tujh hi se madad mangte hai
    Al Quran Surah Fatiha Ayat no 5
  20. Eid ke din Sunnate:
    1. Subah Jaldi uthna
    2. Ghusl karnaa
    3. Naye kapde pahenna agar na ho to jo hai use pahen lee
    4. 1,3,5 Khajur khakar ghar se nikalna
    5. Jamaat ke saath namaz padho
    6. Khutbah suno
    7. Masjid se aane jaane ke raste alag hone chaiye
    8. Mubrakbaad de ye kehkar Taqabbalallahu minna wa Minkum
  21. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye hukm diya hai ki Namaz (Eid) ke liye janey se pahley Sadqa (Zakat-ul-Fitra) Ada kar diya jaye
    Bukhari
  22. HUZUR (SAW) :Jo kisi Rozedar ka roza iftar karay to usko bhi uske barabar sawab milega aur rozedar ke sawab mein kami bhi nahi hogi
    Ibnmajah
  23. Momin to ek dusre k Bhai hai lehaza apne bhaiyo k darmiyan taluqaat ko DURUST karo aur Allah se DARO taake tum par Reham kiya jaye
    >49:10
  24. ALLAH par bharosa karo jise kabi mout nahi ayegi
    FURQAAN :58
    Aur jo ALLAH par bharosa karta hai to ALLAH uske liye kafi hai
    TALAAQ : 3
  25. Jo koi ShabeQadr mein Imaan ke saath aur sawab ki niyat se Ibadat ke liye khada ho to uskey tamam pichley gunaah baksh diye jayenge
    Bukhari